In honthon ne maanga sargam,
Sargam tu aur tera hi pyaar hai
Aankhen dhoonde hai jisko har dam,
Har dam tu aur tera hi pyaar hai
Mehfil mein bhi tanha hai dil aise, dil aise
Tujhko kho naa de, darrta hai yeh aise, yeh aise
Aaj mili aisi khushi, jhoom uthi duniya yeh meri
Tumko paaya to paayi zindagi
Kehna hi kya yeh nain ek anjaan se jo mile
Chalne lage mohabbat ke jaise yeh silsilay
Armaan naye aise dil mein khile,
Jinko kabhi main naa jaanoon
Woh humse, hum unse kabhi naa mile,
Kaise mile dil naa jaanoon
Ab kya kare, kya naam le,
Kaise unhe main pukaaroon
Kehna hi kya yeh nain ek anjaan se jo mile
Chalne lage mohabbat ke jaise yeh silsile
Kehna hi kya